In the name of Allah, the creator of the universe

Nooraani kalemaat aur rabta- e – saltanat course tolobaa ko buraiyon par Fateh hasil karne ke qabil bnaate hai. jo mohabbat, aman, pakizgi aur khushi jaise ilaahi iqdaar ka ehsaas dete.

About Us

Get to know more

ہمارا تعارف
یہ ایک عالمی معیار ہے. جس کا مقصد دنیا بھر میں امن، نیکی، پاکیزگی، ہمدردی اور اسی طرح کی دیگر اقدار کی ترویج کرنا ہے۔ یہ دنیا بھر میں مساوات، محبت اور باہمی احترام کے اصولوں پر کام کرتا ہے اور اسی مقصد کے تحت اپنے مراکز میں مختلف رسمی اور عملی کورسز فراہم کرتا ہے۔ ان کورسز میں گوڈلی نالج کورس، رابطۂ سلطنت کورس، پرسکون زندگی کورس، ریلیشن شپ مینجمنٹ کورس وغیرہ شامل ہیں۔ یہ تمام کورسز معاشرے کے تمام طبقات کو بلکل مفت فراہم کیے جاتے ہیں۔

Hamaara Taaruf
Yeh ek aalami miyaar hai. Jis ka maqsad duniya bhar mein aman, neki, pakeezgi, hamdardi aur isi tarah ki deegar iqdaar ki tarweej karna hai. Yeh duniya bhar mein masaawat, mohabbat aur baahmi ehteraam ke usoolon par kaam karta hai aur isi maqsad ke tahat apne marakaz mein mukhtalif rasmi aur amali courses faraham karta hai. In courses mein Godly Knowledge Course, Rabta-e-Saltanat Course, Pursukoon Zindagi Course, Relationship Management Course waghera shaamil hain. Yeh tamam courses muashray ke tamam tabaqat ko bilkul muft faraham kiye jaate hain.

Wisdom

حکمت
حکمت اور دانائی آپ کو اپنی زندگی اور دوسروں کی زندگی کے تجربات سے سیکھنے کی بنیاد فراہم کرتے ہیں۔ جس کی بناء پر آپ درست فیصلہ کرنا اور ذہانت سے کام لینا سیکھتے ہیں۔
یہ آپ کے لیے فائدے مند ہے۔

ایک عقلمند شخص عام طور پر دوسروں کے ساتھ معاملہ کرنے میں ایماندار اور منصفانہ ہوتا ہے۔ سادہ، خوش اور پُرسکون، زندگی میں سب کے لیے ہمدردی اور مساوات سے بھرپور تعاون کرنے والا اور بہت ہی قابل قبول اور کامیاب ہوتا ہے۔

Hikmat
Hikmat aur danayi aapko apni zindagi aur doosron ki zindagi ke tajurbaat se seekhne ki buniyad faraham karti hain. Iski buniyad par aap durust faisla karna aur zihanat se kaam lena seekhte hain. Yeh aap ke liye faida mand hai.
Ek aqalmand shakhs aam tor par doosron ke saath mamla karne mein imandaar aur munsif hota hai. Saada, khush aur pur-sukoon, zindagi mein sab ke liye hamdardi aur masawaat se bharpoor taawun karne wala aur bohot hi qabil-e-qabool aur kamiyab hota hai.

Meditation

رابطہ سلطنت
رابطہ سلطنت آپ کو اپنے بارے میں واضح روحانی سمجھ دیتا ہے۔ یہ آپ کے اندر پہلے سے موجود فضیلت اور طاقتوں کو دوبارہ تلاش کرنے اور استعمال کرنے میں مدد کرتا ہے۔ یہ آپ کو ہر چیز کے بارے میں پازیٹو رویہ پیدا کرنے اور نئے جواب تلاش کرنے کے قابل بناتا ہے۔ رابطہ سلطنت ایک آسان، قدرتی، کھلی آنکھوں سے کی جانے والی تکنیک ہے، جسے کوئی بھی، کہیں بھی استعمال کر سکتا ہے۔ اور اس کی مسلسل پریکٹس سے اپنی زندگی بہترین بنا سکتا ہے۔

Raabta-e-Saltanat

Raabta-e-Saltanat aapko apne baare mein wazeh roohani samajh deta hai. Yeh aapke andar pehle se mojood fazilat aur taqat ko dobara dhoondhne aur istemal karne mein madad karta hai. Yeh aapko har cheez ke baare mein positive rawayya paida karne aur naye jawab dhoondhne ke qabil banata hai. Raabta-e-Saltanat ek aasaan, qudrati, khuli aankhon se ki jaane wali technique hai, jise koi bhi, kahin bhi istemal kar sakta hai. Aur iski musalsal practice se apni zindagi behtarin bana sakta hai.

Health

صحت
عالمی ادارے کے مطابق جسمانی، ذہنی، روحانی اور سماجی طور پر مکمل صحت مند ہونا ہی اصل صحت ہے۔ لوگ عام طور پر جسمانی صحت کے حصول کے لیے وقت اور دیگر وسائل صرف کرتے ہیں۔ اور صحت کے دیگر تین اصولوں کو نظر انداز کر دیتے ہیں۔ تاہم یہاں برہما کماریوں میں ذہنی، روحانی نشونما کے ساتھ ساتھ سماجی صحت اورعبادات کو بھی کافی اہمیت دی جاتی ہے۔ ہمارے ذریعہ سکھائی گئی رابطہ سلطنت (ریاضت) کے ذریعےصالح اقدار کو فروغ دینے میں مدد کرتی ہے۔ جس سے اخلاص، خوشی اور بہت سی روحانی طاقت حاصل ہوجاتی ہیں اور تناؤ سے نجات والی زندگی مل جاتی ہے۔

Sehat
Alami idaare ke mutabiq jismaani,zehni,roohani aur samaji tour par mukammal sehat mand hona hi asal sehat hai.Log aam tour par jismaani sehat ke hosool ke liye vakt aur deegar vsaail sarf karte hai. Aur sehat ke deegar teen usoolon ko nazar andaaz kar dete hai. Taahum yhaan brahmakumaris me zehni, roohani nash e numa ke saath saath samaji sehat aur ibaadat ko bhi kafi ahamiyat di jati hai. Hmare zariye sikhaai gyi raabta e saltanat ( Riyazat) ke zariye saaleh iqdaar ko faroog dene me madad karti hai. jis se ikhlaas, Khushi aur bhut sari roohani taqat hasil ho jati hai. Aur tanav se nijaat wali zindgi mil jati hai.

Noorani Kalemaat

نورانی کلمات
یہ خدائی کلمات ہیں۔ یہ نہایت فخر، خوشی اور راحت کے کلمات ہیں۔ جسے اللہ تعالیٰ بیان فرماتے ہیں۔ تاکہ بے حیائی، بددیانتی، لاقانونیت اور افراتفری کودورکیا جا سکے اور ایک نئی پاکیزہ اور پیاری دنیا كا قیام دوبارہ اس سرزمین پرکیا جا سکے۔ اللّٰہ تعالیٰ زندگی اور موت سے بالاتر ہیں۔ وہ ان چکّروں میں نہیں آتے، وہ بچوں کی مانند ماں کی گود سے ولادت نہیں لیتے ہیں، بلکہ اسے اپنے مشن کی تکمیل کے لیے انسانی جسم کی ضرورت ہوتی ہے۔ اس لیے اس نے ایک بزرگ انسان کے جسم کو اختیارکیا، تا کہ انسانوں کو انسانی زبان میں حقیقت سے روشناس کراسکے۔ یہ روزآنہ برہما کماریوں کے طلباء کو پوری دنیا میں اس کے تمام مراکز پر پڑھے جاتے ہیں۔ نورانی کلمات مکمل روحانی تبدیلی کو بااختیار بنانے اور انسانی روحوں کی تکمیل میں مدد کرتے ہیں۔ نورانی کلمات اور رابطہ سلطنت کورس طلبا کوبراائیوں پر فتح حاصل کرنے کے قابل بناتے ہیں۔جو محبت، امن، پاکیزگی اور خوشی جیسے الہی اقدار کا احساس دیتے ہیں ۔

Noorani Kalemaat

Yeh Khudaai kalemaat hain. Yeh nihayat fakhar, khushi aur rahat ke kalemaat hain. Jise Allah Ta’ala bayan farmaate hain, taaki be hayaai, baddayaanati, la-qaanooniat aur afraatafri ko door kiya ja sake aur ek naye paak aur pyaari duniya ka qayaam dobara is zameen par kiya ja sake. Allah Ta’ala zindagi aur maut se baalaatar hain. Woh in chakron mein nahi aate, woh bachon ki tarah maa ki god se villadat nahi lete hain, balki use apne mission ki takmeel ke liye insani jism ki zaroorat hoti hai. Is liye usne ek buzurg insaan ke jism ko ikhtiyaar kiya, taaki insaanon ko insani zuban mein haqeeqat se roshnaas kara sake. Yeh rozana Brahma Kumariyon ke talib-e-ilm ko poori duniya mein iske tamam markaz par padhe jaate hain. Noorani Kalemaat mukammal roohani tabdeeli ko ba-ikhtiyaar banane aur insani roohon ki takmeel mein madad karte hain. Noorani Kalemaat aur Raabta-e-Saltanat course students ko buraiyon par fatah haasil karne ke qabil banate hain. Jo mohabbat, aman, paakizgi aur khushi jaise ilahi iqdar ka ehsaas dete hain.

The best richness is the richness of the soul

Hiqmat aur danai aap ko apni zindagi aur doosro ki zindagi ke tajurbaat se seekhne ki buniyad fraham karti hai.

Mosiqi
Hmare pass rahat bakhsh, Sukoon Bakhsh aur rooh afza khalis mosiqi ke nagme aur tarane hai. Jo rooh ke liye mufeed hai. Mosiqi jo khudai ilm par mabni hai.
Ye tarane madadgar hai:

  1. Apne zhn aur aql ko khuda par markooz rakhne me.
  2. Zindgi me Mohabbat,aman aur khushi dene me.
  3. Roohani tour par ba ikhtiyar rooh bannne me.
  4. Khuda ki kurbat mehsoos karne me.
  5. Khud me bhut zyada tabdeeli mehsoos karne me.
  6. Apni zindgi ko sada aur kamyab banane me.
  7. Doosron ke saath apne tallukat ko behtar banane me.
  8. Farishta banne ka tajurba karne me.

Music

موسیقی
ہمارے پاس راحت بخش،سکون بخش اور روح افزہ خالص موسیقی کے نغمے اور ترانے ہیں ۔جو روح کے لیے مفید ہے۔ موسیقی جو خدائی علم پر مبنی ہیں۔
یہ ترانے مددگار ہیں

١. اپنے ذہن اور عقل کو خدا پر مرکوز رکھنے میں۔
٢. زندگی میں محبت، امن اور خوشی کا تجربہ دینے میں۔
٣. روحانی طور پر بااختیار روح بننے میں۔
٤. خدا کی رحمت کو محسوس کرنا۔
٥. خود میں بہت زیادہ مثبت تبدیلی کا تجربہ کرنے میں۔
٦. اپنی زندگی کو سادہ اور کامیاب بنانے میں۔
٧. دوسروں کے ساتھ اپنے تعلقات کو بہتر بنانے میں۔
٨. فرشتے بننے کا تجربہ کرنے میں۔
. وغیرہ وغیرہ۔

Latest Post

Follow us for further information

Join Us

Copyright © 2022, All rights reserved. Present by Mannat. App