21-09-2024 Noorani Kalemat
“Meethe bachche – Baap chakkar chakkar aakar tum bachchon ko apna taroof dete hain, tumhein bhi sabko baap ka haqeeqi taroof dena hai.”
Sawal: Bachchon ke kis sawal ko sunkar baap bhi wonder khate hain?
Jawab: Bachche kehte hain – Baba aapka taroof dena nihayat mushkil hai. Hum aapka taroof kaise dein? Yeh sawal sunkar baap ko bhi wonder lagta hai. Jab tumhein baap ne apna taroof diya hai toh tum bhi doosron ko de sakte ho, ismein mushkilat ki baat hi nahin. Yeh toh nihayat aasan hai. Hum sab roohen gair mujassam hain toh zaroor unka baap bhi gair mujassam hoga.
Main pursukoon rooh hoon. Meethe-meethe roohani bachche samajhte hain behed ke baap paas baithe hain. Yeh bhi jaante hain behed ka baap is rath yani ke gaadi par hi aate hain. Jab BapDada farmate hain, yeh toh jaante hain ke RahmatulAlameen hai aur woh is gaadi par baitha hai. Apna taroof de rahe hain. Bachche jaante hain woh baba hai, baba rai dete hain ke roohani baap ko yaad karo toh gunaah khaak ho jaayein, jisko raabte ki aag kehte hain. Abhi tum baap ko toh pehchaante ho. Toh aise kabhi thode hi kahenge ke baap ka taroof doosre ko kaise doon. Tumko bhi behed ke baap ka taroof hai toh zaroor de bhi sakte ho. Taroof kaise dein, yeh toh sawal hi nahin uth sakta hai. Jaise tumne baap ko jaana hai, waise tum keh sakte ho ke hum roohon ka baap toh ek hi hai, ismein moojhne ki darkar hi nahin rehti. Koi-koi kehte hain baba aapka taroof dena bada mushkil hota hai. Arey, baap ka taroof dena – ismein toh mushkilat ki koi baat hi nahin. Jaanwar bhi ishare se samajh jaate hain ke main falane ka bachcha hoon. Tum bhi jaante ho ke hum roohon ka woh baap hai. Hum rooh abhi is jism mein daakhili hain. Jaise baba ne samjhaya hai ke rooh hayati soorat hai. Aise nahin uska koi roop nahin hai. Bachchon ne pehchana hai – bilkul simple baat hai. Roohon ka ek hi gair mujassam baap hai. Hum sab roohen bhai-bhai hain. Baap ki aulaad hain. Baap se humko varsa milta hai. Yeh bhi jaante hain aisa koi bachcha is duniya mein nahin hoga jo baap ko aur unki makhlooq ko na jaanta ho. Baap ke paas kya property hai, woh sab jaante hain. Yeh hai hi roohon aur supreme rooh ka mela. Yeh falaah nasheeni mela hai. Baap hai hi falaah nasheeni. Nihayat falaah karte hain. Baap ko pehchanne se samajhte ho – behed ke baap se humko behed ka varsa milta hai. Woh jo sannyasi guru hote hain, unke talib ilmon ko guru ke varse ka maloom nahin rehta hai. Guru ke paas kya milkiyat hai, yeh koi talib ilm mushkil jaante honge. Tumhari aql mein toh hai – woh Rahmatul-Alameen hai, milkiyat bhi baba ke paas hoti hai. Bachche jaante hain behed ke baap ke paas milkiyat hai – duniya ki badshahi jannat. Yeh baatein siwaaye tum bachchon ke aur koi ki aql mein nahin hain. Jismani baap ke paas kya milkiyat hai, woh unke bachche hi jaante hain. Abhi tum kahenge hum jeete ji roohani baap ke bane hain. Unse kya milta hai, woh bhi jaante hain. Hum pehle yazidi khandaan mein the, abhi momin khandaan mein aa gaye hain. Yeh knowledge hai ke baba is Jibraeel alaihissalam ke jism mein aate hain, inko baap-e-awam Jibraeel alaihissalam kaha jaata hai. Woh (Rahmatul-Alameen) toh hai sab roohon ka father. Inko (baap-e-awam Jibraeel alaihissalam ko) great-great-grand father kehte hain. Ab hum inke bachche bane hain. Rahmatul-Alameen ke liye toh kehte hain woh haazira hazoor hai. Jaani-jaanannhaar hai. Yeh bhi ab tum samajhte ho ke woh kaise makhlooq ke aghaaz-darmyaan-akhir ki knowledge dete hain. Woh sab roohon ka baap hai, unko naam-roop se nyara kehna toh jhoot hai. Unka naam-roop bhi yaad hai. Raat bhi manate hain, saalgirah toh insano ki hoti hai. Rahmatul-Alameen ki raat kahenge. Bachche samajhte hain raat kisko kaha jaata hai. Raat mein ghor andhiyaara ho jaata hai. Be-ilmi andhiyaara hai na. Gyaan sooraj pragta agyaan andher vinaash yani ke aaftaab-e-ilm zuhoor be-ilmi andher fana – abhi bhi gaate hain magar matlab kuch nahin samajhte. Sooraj kaun hai, kab zuhoor hua, kuch nahin samajhte. Baap samjhate hain aaftaab-e-ilm ko ilm ka samundar bhi kaha jaata hai. Behed ka baap ilm ka samundar hai. Rahib, guru, gosai wagairah apne ko sahifon ki authority samajhte hain, woh sab hai aqeedat mandi. Bahut ved-sahifen padhkar daanishmand hote hain. Toh baap roohani bachchon ko baith samjhate hain, inko kaha jaata hai rooh aur supreme rooh ka mela. Tum samajhte ho baap is rath mein aaye hue hain. Is milan ko hi mela kehte hain. Jab hum ghar jaate hain toh woh bhi mela hai. Yahan baap khud baith padhate hain. Woh father bhi hai, teacher bhi hai. Yeh ek hi point achhi tarah ikhtiyarat karo, bhoolo mat. Ab baap toh hai gair mujassam, unko apna jism nahin hai toh zaroor lena pade. Toh khud farmate hain main qudrat ki buniyad leta hoon. Nahin toh bolun kaise? Jism bigar toh bolna hota nahin. Toh baap is jism mein aate hain, inka naam rakha hai Jibraeel alaihissalam. Hum bhi Yazid se momin bane toh naam badalna hi chahiye. Naam toh tumhare rakhe the. Magar usmein bhi abhi dekho toh kayi hain hi nahin isliye mominon ki mala nahin hoti. Aqeedat mando ki mala aur ilahi mala gayi hui hai. Mominon ki mala nahin hoti. Mikaeel alaihissalam ki mala toh chali aayi hai. Malakoot watan mein Vishnu yani ke Mikaeel alaihissalam ko 4 bazu wala dikhaya hai. Do bhuja Lakshmi yani ke do bazu Hawwa alaihissalam ki, do bhuja Narayan yani ke do bazu Adam alaihissalam ki.
Bap samjhate hain main dhobi hoon. Main quwwat-e-rabta se tum ruhon ko khalis banata hoon, fir bhi tum khabast mein jaakar apna singaar hi gawa dete ho. Bap aate hain sabko khalis banane. Ruhon ko aakar sikhlate hain to sikhlane wala zarur yahan chahiye na. Pukarte bhi hain, “aakar paakiza banao.” Kapda bhi maila hota hai to unko dhokar khalis banaya jata hai. Tum bhi pukarte ho – “Ae naapaak se paak banane wala Baba, aakar paakiza banao.” Ruh paakiza banen to jism bhi paakiza mile. To pehli-pehli asal baat hoti hai Bap ka taruf dena. Bap ka taruf kaise den, ye to sawal hi nahi puchh sakte. Tumko bhi Bap ne taruf diya hai tab to tum aaye ho na. Bap paas aate ho, Bap kahan hai? Is gadi mein. Ye hai hayati takht. Tum ruh bhi hayati surat ho. Ye sab tumhare takht hain, jisme tum ruh takht nasheen ho. Woh to hayati takht jad ho gaya na. Tum jaante ho main hayati surat yaani ki ghair mujassam, jiska jismani roop nahi hai. Main ruh la fani hoon, kab fana ho na sake. Ek jism chhod doosra leta hoon. Muj ruh ka part la fani nuaan dha hua hai. Aaj se 5 hazaar saal pehle bhi humara aise hi part shuru hua tha. Van-van sanvat se hum yahan part bajane ghar se aate hain. Ye hai hi 5 hazaar saal ka chakkar. Woh to lakhon saal kah dete hain isliye thode saalon ka khayal mein nahi aata. To bacche aisa kabhi keh nahi sakte ki hum Bap ka taruf kisko kaise den. Aise-aise sawal puchte hain to wonder lagta hai. Arey, tum Bap ke bane ho, fir Bap ka taruf kyon nahi de sakte ho! Hum sab ruhen hain, woh hamara Baba hai. Sab ki khair nijaat karte hain. Khair nijaat kab karenge ye bhi tumko abhi maaloom pada hai. Chakkar-chakkar, chakkar ke daur-e-milan par aakar sab ki khair nijaat karenge. Woh to samajhte hain – abhi 40 hazaar saal pade hain aur pehle se hi keh dete naam-roop se nayara hai. Ab naam-roop se nayari koi cheez thode hi hoti hai. Pathar bhittar ka bhi naam hai na. To Bap farmate hain – meethe-meethe bachon, tum aaye ho behed ke Bap ke paas. Bap bhi jaante hain, kitne be hisaab bachche hain. Bachchon ko abhi had aur behed se bhi paar jaana hai. Sab bachchon ko dekhte hain, jaante hain in sabko main lene ke liye aaya hoon. Sunehre daur mein to nihayat thode honge. Kitna clear hai isliye tasveeron par samjhaya jata hai. Knowledge to bilkul easy hai. Baaki yaad ke safar mein time lagta hai. Aise Bap ko to kabhi bhoolna nahi chahiye. Bap farmate hain “Mamekam” yaani ki mujhe ek ko yaad karo to paakiza ban jaayenge. Main aata hi hoon naapaak se paakiza banane. Tum hayati surat ruhen sab apne-apne takht par takht nasheen ho. Baba ne bhi is takht ka loan liya hai. Is taqdeerwaan gadi mein Bap dakhili hote hain. Koi kehte hain Supreme ruh ka naam-roop nahi hai. Ye to ho hi nahi sakta. Unko pukarte hain, azmat gaate hain, to zarur koi cheez hai na. Buri khislton se aarasta hone sabab kuch bhi samajhte nahi. Bap samjhate hain – meethe-meethe bachon, itni 84 lakh yoniyaan to koi hoti nahi. Hain hi 84 vilaadat. Doobara vilaadat bhi sabki hogi. Aise thode hi Brahm mein jaakar leen honge aur moksh ko payenge. Ye to bana-banaya drama hai. Ek bhi kam-jasti nahi ho sakta. Is abdi la fani drama se hi fir chhote-chhote drama aur natak banate hain. Woh hain fani. Abhi tum bachche behed mein khade ho. Tum bachchon ko ye knowledge mili hui hai – humne kaise 84 vilaadat li hain. Abhi Bap ne bataya hai, aage kisko maaloom nahi tha. Auliya-e-kiraam, Afsia-e-kiraam bhi farmate the – hum nahi jaante hain. Bap aate hi hain daur-e-milan par, is purani duniya ko change karne. Jibrail alaihis salam nai duniya ka qayam fir se karte hain. Woh to lakhon saal keh dete hain. Koi baat yaad bhi na aa sake. Mahapralay bhi koi hoti nahi. Bap rabta-e-saltanat sikhlate hain fir badshahat tum paate ho. Ismein to shak ki koi baat hi nahi. Tum bachche jaante ho pehle number mein sabse pyara hai Bap fir next pyara hai Adam alaihis salam. Tum jaante ho Adam alaihis salam hai jannat ka pehla prince, number one. Wahi fir 84 vilaadat lete hain. Uske hi aakhiri vilaadat mein main dakhili karta hoon. Ab tumko naapaak se paakiza banna hai. Naapaak se paakiza Bap hi hai, paani ki nadiyan thode hi paakiza kar sakti hain. Ye nadiyan to sunehre daur mein bhi hoti hain. Wahan to paani bahut khalis rehta hai. Kichda wagairah kuch nahi rehta. Yahan to kitna kichda padta rehta hai. Baba ka dekha hua hai, us waqt to ilm nahi tha. Ab wonder lagta hai paani kaise paakiza bana sakta hai.
To Baap samjhate hain – Meethe bachche, kabhi bhi moonjho nahin ki baap ko yaad kaise karein. Arey, tum baap ko yaad nahin kar sakte ho! Woh hain kokh ki aulad, tum ho adopted bachche. Adopted bachchon ko jis baap se milkiyat milti hai, unko bhool sakte hain kya? Behad ke baap se behad ki milkiyat milti hai toh unko bhoolna thode hi chahiye. Jismaani bachche baap ko bhoolte hain kya? Magar yahan Iblees ka opposition hota hai. Iblees ki jung chalti hai, saari duniya daayra-e-amaal hai. Rooh is jism mein daakhil ho kar yahan aamaal karti hai. Baap amaal-neutral amaal-gunahgaar amaal ka raaz samjhate hain. Yahan shaitani saltanat mein amaal gunahgaar amaal ban jaate hain. Wahan shaitani saltanat hi nahin toh amaal neutral amaal ho jaate hain, gunahgaar amaal koi hota hi nahin. Yeh toh nihayat aasaan baat hai. Yahan shaitani saltanat mein amaal gunahgaar amaal hote hain isliye gunahgaar amaal ki sazaa bhogni padti hai. Aise thode hi kahenge Shaitaan abdi hai. Nahin, aadha chakkar hai shaitani saltanat, aadha chakkar hai ilahi saltanat. Tum jab hoorain the toh tumhare amaal neutral amaal hote the. Ab yeh hai knowledge. Bachche bane ho toh phir taleem bhi padhni hai. Bas, phir aur koi dhande waqeerah ka khyaal bhi nahin aana chahiye. Magar gharelu sulook mein rahte dhanda waqeerah bhi karne waale hain toh baap farmate hain kamal phool jaise raho. Aise hoorain tum banne waale ho. Woh nishani Mikhail alayhissalam ko de di hai kyunki tumko shobhegi nahin. Unko shobhti hai. Wahi Mikhail alayhissalam ke do roop Hawwa alayhissalam-Adam alayhissalam banne waale hain. Woh hai hi ahimsa paramo devi-devta dharm yaani ki iddam tashadud aala tareen hoor hoorain deen koi khabasat ki zina katari hoti, na koi ladai-jhagadha waqeerah hota hai. Tum double iddam tashadud bante ho. Sunehre daur ke maalik the. Naam hi hai golden age. Sone jaisi duniya. Rooh aur jism dono sone jaisa ban jaate hain. Sone jaisa jism kaun banate hain? Baap. Abhi toh iron age hai na. Ab tum kehte ho sunehra daur paas ho gaya hai. Kal sunehra daur tha na. Tum saltanat karte the. Tum knowledgeable bante jaate ho. Sab toh ek jaise nahin banenge. Accha!
Meethe-meethe sikeeldhe bachchon ke waaste maa-baap Baapdada ka yaad-pyaar aur good morning. Roohani baap ki roohani bachchon ko salaam.
Ikhtiyaarat ke waaste aham khulaasa:-
1) Main rooh hayati takhtnasheen hoon, is yaaddasht mein rehna hai, had aur behad se paar jaana hai isliye hadon mein akal nahin phansa ni hai.
2) Behad baap se behad ki milkiyat milti hai, is nashe mein rehna hai. Amaal-neutral amaal-gunahgaar amaal ki raftaar ko jaan gunahon se bachna hai. Taleem ke waqt dhande waqeerah se akal nikaal leni hai.
Ne’amat-e-khuda:-Siraat-e-mustaqeem ki lagaam ko tight kar zehan ko bas karne waale baalak so maalik bano.
Duniya waale kehte hain zehan ghoda hai jo bahut tez bhaagta hai, magar aapka zehan idhar udhar bhaag nahin sakta kyunki siraat-e-mustaqeem ka lagaam mazboot hai. Jab zehan-akal side scene ko dekhne mein lag jaati hai toh lagaam dheela hone se zehan chanchal hota hai isliye jab bhi koi baat ho, zehan chanchal ho toh siraat-e-mustaqeem ka lagaam tight karo toh manzil par pahun ch jaayenge. Baalak so maalik hoon – is yaaddasht se haqdar ban zehan ko apne bas mein rakho.
Slogan:- Hamesha yaqeen ho ki jo ho raha hai woh bhi accha aur jo hone waala hai woh aur bhi accha toh achal-adol rahenge.
Ghaibi ishaara: Agar koi aapke madadgaar bhai aur behen family ki roohen besamajhi ya bachchon ki zid se kaleel arse ki cheez ko taveel arse ki dasta yaabi samajh, kaleel arse ke maanana naam-maan-shaan ya kaleel arse ki dasta yaabi ki khwahish rakhti hai toh doosre ko izzat dekar khud haleem banna. Yeh dena hi hamesha ke liye lena hai. Kisi se koi salvation lekar ke phir salvation dene ka iraada bhi na ho. Is kaleel arse ki khwahish se begar bano.